Aziz Qaisi -Words & Rhymes

Thursday 19 November 2009

Ghazal

रात की रात पड़ाव का मेला, कूच की धुल सवेरे
महल, मकान, कुटिया, छप्पर सब बंजारों के डेरे

सूरज ढलते ही फितने जाग उठते हैं
रैन नहीं जब अपने बस में कैसे रैन बसेरे

वो तो हम जैसे सादा दिलों का हशर यही होना था
वरना तुम से तर्क के वफ़ा के हीले थे बहुतेरे

चल कैसी मेले में चल क्या रोना तन्हाई का
कोई नहीं जब तेरा मेरा सब मेरे सब तेरे

Raat ki raat padav ka mela, kooch ki dhool savere
Mahal, makaan, kutiya, chappar sab banjaron ke dere

Suraj dhalte hi fitne jaag uth te hain
raen nahin jab apne bas mein kaise raen basere

wo to hum jaise saada dilon ka hasher yahi hona tha
warna tum se tarq ke mohabbat ke hile the bahutere

Chal Qaisi mele mein chal kya rona tanhai ka
koi nahin jab tera mera sab mere sab tere

Tuesday 17 November 2009

Ghazal

ये समन्दर पे बरसता पानी
हाय पैसों को तरसता पानी

आगे दीवारे सिकंदर ही सही
खुद बना लेता है रास्ता पानी

देख उन रोती हुई आँखों से ज़रा
शहर के शहर को दसटा पानी

बेनामु है मेरे अश्कों की तरह
दश्ते वीराँ पे बरसता पानी

मसलेहत होगी कोई कातिल की
हो गया खून से सस्ता पानी

Ye samandar per barasta paani
Hai! Paison ko tarasta paani

Aage diware sikander hi sahi
khud bana leta hai rasta paani

Dekh un roti hui aankohon se zara
shaher ke shaher ko dasta paani

Benamu hai mere ashkon ki tarah
Dasht e viran pe barasta paani

Maslehat hogi koi kaatil ki
Ho gaya khoon se sasta paani

Tuesday 4 August 2009

जित् ने थे रन्ग् हुस्ने बयान् के बिगड् गये
लफ़्ज़ोन् के बाग् शहेर् कि सुरत् उजड् गये

ये मौज़ेज़ा हयात् क मामूल् बन् गया
इत् नि दफ़ा चिराग् हवाओन् से लड् गये

इस् आन्घियो कि फ़स्ल् मे है किस् बिना पे नाज़्
तुम् क्या हो आस्मनो के खेमे उखड् गये

कत्रे लहु के जिन् को समझ्ते थे बे नमु
अक्सर् ज़मीने शोर् मे जड् पकड् गये

तन्हा है प शिकस्ता है और् मौत् घात् मे
तुम् किस् हसीन् रात् मे हम् से बिछड् गये

रुस्वा हुआ है मिन्नते चारागरन् से दिल्
जिस् जिस् जगह् थे ज़क्म् वहा दाग् पड् गये

गर्दन् फ़रज़ियोन् का है मख्तल् ज़मीन् तमम्
कैसि कहन् ये बात् पे तुम् अप्नि अड् गये

Monday 29 June 2009

Main nagma gare abad....Nazm

Main nagma gare fana gazida
Main nagma gare fana shunida

tum mujhe jahan se sun rahe ho
wo pal meri ibtida nahin hai...

tum mujhe jahan na sun sakoge
wo pal meri intiha nahin hai...

tum bhi na the
aur tum yahin the..

main bhi na tha
aur main yahin tha..

tum bhi nahin honge
aur main bhi..

tum bhi yahin honge
aur main bhi...

main naam nahin hoon
nagmagi hoon..

tum naam nahin ho
zindagi ho...

pal bhar sahi meri nagmakhani
palbhar sahi apni zindagani

main nagmagare abad ka nagma
tum nagmagare abad ki mehfil

Tuesday 23 June 2009

Ghazal

Kahin nigaah kahin lab kahin zabaa hoga
Ghazal kaho na kaho ishq to bayaa hoga

Hude de dard ke aage na kayanaat na zaat
Kahin zameen na hogi to aasma hoga

Badal ke rakh de takdeer-e-sang-o-khist ek din
Na jaane kaun se ghar mein wo dard jawaan hoga

Haram mein daer mein maikhane mein kharabe mein
Jahan bhi jaiye ek shaksh darmeiyan hoga

Wo ek baat jo darte hain un se kehte hue
Us ek baat ka char cha kahan kahan hoga

Sher

Gam gar che hai beshumaar sehne ke liye
Khushiyan hai sadh hazaar kehne ke liye

Ek pal ki shikast -e-kwab kaafi hai yahan
Ta umr udaas rehne ke liye

Monday 22 June 2009

Dasht apna....

Dasht apna na ghar kahan jayein
Khak udayein kidhar kahan jayein

Chodkar sab ko aaye aap ke paas
Aap ko chod kar kahan jayein

Hum jafaa dastagaane zulmat-e-shab
Be namude saher kahan jayein

Aap uthayein to aap ke dar se
Uth to jayein magar kahn jayein

Maut jab teri dastaras mein nahin
Ye bata chara gar kahan jayein

Nashanaso ke shaher mein Qaisi
Le ke jin se hunar kahan jayein

********************************************************************