Monday 22 June 2009

Dasht apna....

Dasht apna na ghar kahan jayein
Khak udayein kidhar kahan jayein

Chodkar sab ko aaye aap ke paas
Aap ko chod kar kahan jayein

Hum jafaa dastagaane zulmat-e-shab
Be namude saher kahan jayein

Aap uthayein to aap ke dar se
Uth to jayein magar kahn jayein

Maut jab teri dastaras mein nahin
Ye bata chara gar kahan jayein

Nashanaso ke shaher mein Qaisi
Le ke jin se hunar kahan jayein

********************************************************************

No comments:

Post a Comment