Tuesday 23 June 2009

Ghazal

Kahin nigaah kahin lab kahin zabaa hoga
Ghazal kaho na kaho ishq to bayaa hoga

Hude de dard ke aage na kayanaat na zaat
Kahin zameen na hogi to aasma hoga

Badal ke rakh de takdeer-e-sang-o-khist ek din
Na jaane kaun se ghar mein wo dard jawaan hoga

Haram mein daer mein maikhane mein kharabe mein
Jahan bhi jaiye ek shaksh darmeiyan hoga

Wo ek baat jo darte hain un se kehte hue
Us ek baat ka char cha kahan kahan hoga

No comments:

Post a Comment