Monday 29 June 2009

Main nagma gare abad....Nazm

Main nagma gare fana gazida
Main nagma gare fana shunida

tum mujhe jahan se sun rahe ho
wo pal meri ibtida nahin hai...

tum mujhe jahan na sun sakoge
wo pal meri intiha nahin hai...

tum bhi na the
aur tum yahin the..

main bhi na tha
aur main yahin tha..

tum bhi nahin honge
aur main bhi..

tum bhi yahin honge
aur main bhi...

main naam nahin hoon
nagmagi hoon..

tum naam nahin ho
zindagi ho...

pal bhar sahi meri nagmakhani
palbhar sahi apni zindagani

main nagmagare abad ka nagma
tum nagmagare abad ki mehfil

No comments:

Post a Comment